Hamari dastan...

Likhne walon ne bht si dastanain likhi hain...haqeeqat to ye ha har fard khud he ek nai dastaan ha...aur sab ifraad ki dastainain milkar ek bari dastan bnatay hain....

Hmari dastaan ki shuruaat zulm se hui the...jub zulm or na insafi se nijaat hasil krne k lye humay alag hona tha .... Humay bht mukhlis log milay thay....humay bht mujahid milay thay....ek mujahid, jo apne watan k lye apni jaan qurban krne ko tayyar rehta ha ....humay vo log milay thay jo apni maa'on behno or betiyon ko qurban kr rahay thy....hum unhe apne "abaa o ijdad" kehte hain...kyun?? Un jese pur khuloos logon ko apne sath munsib krtay huay hmay ratti brabr bhi sharam nhn ati??

Waqt har cheez par dhool jama deta ha...chahay wo jitni he bari q na ho...waqt bhula deta ha sab...tsawwur karain ap us train me sawar hain jisme mahajireen pakistan k qayam k waqt india se Pakistan aa rahay thy...aur bharat ne hmesha se woh harkat ki jiski us se tawaqu ha...peeth par war...khoon aur jismani aza se bahi hui train pakistan pohanchi the...dar haqeeqat hum bhoolay nhn ...humay to maloom he nhn wo kefyat kia the...q k hum vo log nhn hain...ho he nhn sktay!!! ...hum to traffic lights torne walay log hain...hum to chez ko mehanga kr k bechne walay log hain....hum to vote na dene walay log hain.... Hum to off shore companies k malik hain...humaray mulk ka ameer bhi corrupt hmaray mulk ka ghareeb bhi corrupt ...hmari adaltain bhi be-iman....hmaray dafatir bhi khud gharz...mazrat k sath....magar hum to isi daastan ka hissa hain ab...jiski ibtada zulm se hui the or ikhtatam mayusi par ho raha ha...kam az kam lag to yehe raha ha...or har shakhs jo is mulk se wabasta ha vo iska hissa ha...or uska kirdar ha yahan...

"Nawaz shareef" to atay or jatay rahengay...magar agar in corrupt politician ki bjaye imandaar log hotay to kia vo hmaray kirdar par koi positive ya negative asar dal sktay thay? Kirdaar ko durust krne wala insan khud ha...jiski ki ibtada realize krne se hoti ha

Ye tehreer ha 22 august 2016 ki...jb k hmay jashn e azadi manaye huay chand din he guzray hain...aj news me aya k Multan me lrkian aghwa huein thein jo kisi trha apni jan bacha kr bhag niklein....karachi me MQM k leader ne puray karachi me be-amni phela di... Ye kia krdia humne apne mulk sath? Iska hisaab to humay dena hoga...un sab logon ko bhi jinho ne hmaray mulk k lye apni janain dein...

Merey ek econmy teacher ne ek bar pakistan ki muashiat par bht lmba lecture dia...k kis trha hamari economy girti gai...akhir me unho ne kaha k maeeshat ka expert hone k peshe nazar wo abhi bhi pakistan k lye pur umeed hain...unke pur umeed hone ne mujhe bhi umeed dila di...jese k main dil se ye sun'na chah raha tha... Magar wo sab hota nazar nhn aa raha... Sirf hum to dil ko behlane k lye umeed dilatay ja rahay hain... Dhoka khaya ha humne... Or sab se qeemti chez ganwa di... Jis zameen main hmaray aba o ijzmdad ka khoon shamil ha...wo nilam kr di in sab ne...or hum dekhtay rahay...!!!

Europe k kisi mulk main police hathyar le kr nhn ghoomti q k kabhi zarurat he nhn pari... Ajeeb si bat to ha lekin is ke sath he isbat ka shiddat se ehsas hota ha k esa humay hona chahye tha...q k jistrha k halat humne is sab ko panay k lye face kiye kisi or ne nhn kiye... Or humay "in" jese log milay... Jinho ne be baha pesa bnaya or bahar ja kr muqeem hogye... Democracy ko mazaq bna lia... Barian rkh lein... Or ap or main pop corn lye front seat me bethay huay hain k abhi koi acha scene ajayega ...

Agar hum internally mazboot hotay to kia india or kia america thy humaray lye... Edhi or Dr. Abdul qadeer khan jese log yahen thy na? Aur agar insaf hota yahan to Allah bhi hmaray sath hota... Abhi filhal to Multan se lrkian aghwa ho rahi hain islye opar se madad to bhool jaen... hum to survive kr rahay hain bus...

Qayamat ki nishanion me se ek nishani ye ha k esi bht si bimarian phel jayengi jinka elaj nhn hoga.... Yani k Kahani ikhtatam ki traf ja rahi ha... Or pop corn bhi khatm hone walay hain... To ap khamoshi se tamasha dekhne walay hain ya uth kr in sab ki bakwas ko bnd krne walay hain? Faisla ap par ha...

Comments