Agar tum na hoti
Kabhi jo bekhayali main Meri sochain bhatakti hain Wasawis aan tapakty hain Unhi betaab sochon main Mujhy ik soch ati ha Agar tum na hoti!!! Tmhara sath na hota Bus itna sochta hun k Tmharay sath guzray pal saray khuaab lagty hain Wo sari byshumar batain Jo humny sath mil k kein Tehelty, hath thamay Pyar ka ankaha izhar Wo aksar meri baton par Tmhara mu bana lena Wo mera phir manana aur Tmhara phir sy khil uthna Wo aksar aam baton par Mujhi sy zid lga lena Barhana bat ko Ulajhna aur, Khudko phir jita dena... Main guzry sab lamhat sy Tawatar sy guzarta hun Phir usky bad tmharay bin Jo in lamhat ko sochun main. Mujhy koi soch nhn ati Mujhy koi khuaab nhn ata Andhera hi andhera ha Tmharay bin nhn hun main Mujhy ye ashnai ha!!! Tmharay bin nhn hun main Mujhy ye ashnai ha!!!