Posts

Showing posts from December, 2016

Loui Point

Image
Allah ki bht bari naimaton me se ek naimat hamwar zameen par chalna bhi ha. Iska ehsas mujhe aj hua..jb hum pathreelay pahron par charh rahay thy. Har qadam k lye jagah bnani parti the. Dil chah raha tha k bas plain ajae aur ham sakoon se chal sakain. Me ye chahta hun k me ye bat kabhi bhi na bhoolun aur jo bhi isko parhay wo ye realize kray. Ye aik bht alag tajurba tha jisme hamari bht mushaqat lagi magar me kabhi bhi ye nhn chahunga k main wahan na gya hota. Kyun k jagah jagah is chez ka ehsas ho raha tha k kisi insan ne ye hebat zada jagah nhn bnai aur na he bna sakta ha. 

Hamari dastan...

Likhne walon ne bht si dastanain likhi hain...haqeeqat to ye ha har fard khud he ek nai dastaan ha...aur sab ifraad ki dastainain milkar ek bari dastan bnatay hain.... Hmari dastaan ki shuruaat zulm se hui the...jub zulm or na insafi se nijaat hasil krne k lye humay alag hona tha .... Humay bht mukhlis log milay thay....humay bht mujahid milay thay....ek mujahid, jo apne watan k lye apni jaan qurban krne ko tayyar rehta ha ....humay vo log milay thay jo apni maa'on behno or betiyon ko qurban kr rahay thy....hum unhe apne "abaa o ijdad" kehte hain...kyun?? Un jese pur khuloos logon ko apne sath munsib krtay huay hmay ratti brabr bhi sharam nhn ati?? Waqt har cheez par dhool jama deta ha...chahay wo jitni he bari q na ho...waqt bhula deta ha sab...tsawwur karain ap us train me sawar hain jisme mahajireen pakistan k qayam k waqt india se Pakistan aa rahay thy...aur bharat ne hmesha se woh harkat ki jiski us se tawaqu ha...peeth par war...khoon aur jismani aza se bahi h...

Pahar!

Bht se logon ne bht si batain likhi hain ...paharon k baray main! Magar jo sab se ziada cheez in me mehsoos hoti ha  ...vo zindagi ha...insan jb unke jamid wujood ko dekhta ha to dekhta he reh jata ha ...or phir isay apni zindagi k guzarne ka ehsas hota ha or iske sab achay or buray pal bht shiddat se mehsoos hotay hain...ek trha se ye apkay khayalat ko mute-harrak kr dety hain !!!

yado'n k makeeno'n ko...

Yado k makeeno ko Ajab ik khof sa rehta ha Is sardi k mahine se K jis k khamosh se din hain Bht khamosh hain ratain Bht udaas si shamain Bht takleef deta ha Purane waqt sochna Gaye lamhat me jana Wahan par tum to hotay ho Magar ik bar phir se jab Khayalon he khayalon me Humain tum chor jatay ho Bht takleef deta ha Isi ka khof sa rehta ha Is sardi k mahinay main.....