Agar tum na hoti
Kabhi jo bekhayali main
Meri sochain bhatakti hain
Wasawis aan tapakty hain
Unhi betaab sochon main
Mujhy ik soch ati ha
Agar tum na hoti!!!
Tmhara sath na hota
Bus itna sochta hun k
Tmharay sath guzray pal
saray khuaab lagty hain
Wo sari byshumar batain
Jo humny sath mil k kein
Tehelty, hath thamay
Pyar ka ankaha izhar
Wo aksar meri baton par
Tmhara mu bana lena
Wo mera phir manana aur
Tmhara phir sy khil uthna
Wo aksar aam baton par
Mujhi sy zid lga lena
Barhana bat ko Ulajhna aur,
Khudko phir jita dena...
Main guzry sab lamhat sy
Tawatar sy guzarta hun
Phir usky bad tmharay bin
Jo in lamhat ko sochun main.
Mujhy koi soch nhn ati
Mujhy koi khuaab nhn ata
Andhera hi andhera ha
Tmharay bin nhn hun main
Mujhy ye ashnai ha!!!
Tmharay bin nhn hun main
Mujhy ye ashnai ha!!!
Comments
Post a Comment